logo

Bayaaz

donate usNotificationA

nauha - farhan ali waris - 2003

Lashkar-e-Hussain Ban Kay

Lashkar-e-Hussain Ban Kay

Isteghasa Hai "Rehan Azmi" Mera

Bargah-e-Aakhir-Uz-Zamaan(a.s.) Mein Aey Khuda

Lashkar-e-Imam(a.s.) Mein Hon Saaray Matmi

"Farhan" Majlis-e-Hussain(a.s.) Mein Karay Dua

(Aeay Maula Aeay Maula, Lashkar-e-Hussain Ban Kay Aeay Maula) x2

Gharian Intezar Ki Tamam Ho Chukin
Zulm-o-Jor Ki Fizaen Aam Ho Chukin

Aap(a.s.) Kay Zahoor Ki Jo Thin Nishanian

Roonuma Woh Sab Har Aik Gaam Ho Chukin

Dair Ho Chuki Sahib-Uz-Zamaan(a.s.)

Lashkar-e-Hussain(a.s.) Ban Kay Aeay Maula

(Aeay Maula Aeay Maula, Lashkar-e-Hussain Ban Kay Aeay Maula) x2

De Rahay Hain Kab Say Al-Ajal Ki Hum Sada
Bhaijtay Hain Har Baras Areezay Aur Dua

Mauj Ko Banalia Hai Apna Namah Bar

Jaanti Hai Mauj Hi To Aap(a.s.) Ka Pata

Aapp(a.s.) Kay Liey Hum Tarhaptay Hain

Lashkar-e-Hussain(a.s.) Ban Kay Aeay Maula

(Aeay Maula Aeay Maula, Lashkar-e-Hussain Ban Kay Aeay Maula) x2

Masjidein Pukarti Hain Har Namaz Mein
Bargahein Dhondti Hain Har Ghari Tumhain

Majlison Mein Parhtay Hain Dua-e-Nahia

Aarzoo Hai Is Sadi Mein Tum Ko Daikhlein

Daur Khatm Ho Ab Yeh Ghaib Ka

Lashkar-e-Hussain(a.s.) Ban Kay Aeay Maula

(Aeay Maula Aeay Maula, Lashkar-e-Hussain Ban Kay Aeay Maula) x2

Intezar-e-Adl Hai Adalaton Ko Bhi
Aap(a.s.) Aakhri Imam(a.s.) Barhwein(12th) Ali(a.s.)

Aap(a.s.) Aeay To Dil Ko Chain Aaeyga

Aap(a.s.) Hi Kay Intezar Mein Hai Zindagi

Taigh-e-Haidery(a.s.) Aap(a.s.) Laengay

Lashkar-e-Hussain(a.s.) Ban Kay Aeay Maula

(Aeay Maula Aeay Maula, Lashkar-e-Hussain Ban Kay Aeay Maula) x2

Hain Libas-e-Deen Mein Mukhalif-e-Aza
Baichnay Lagay Khateeb Zikr-e-Karbala

Para Para Kardia Hai Ittehad Ko

Majlison Say Hai Namaz Ka Muqabla

Waris(a.s.)-e-Aza Deer Na Laga

Lashkar-e-Hussain(a.s.) Ban Kay Aeay Maula

(Aeay Maula Aeay Maula, Lashkar-e-Hussain Ban Kay Aeay Maula) x2

Parhtay Hain Namaz Sheh(a.s.) Kay Saaray Matmi
Zikr Hai Namaz Ka To Majlison Mein Bhi

Sajda-e-Hussain(a.s.) Ka Jisay Khayal Hai

Janta Hai Manzilat Ko Woh Namaz Ki

Is Tafarraqay Ko Mitaeay

Lashkar-e-Hussain(a.s.) Ban Kay Aeay Maula

(Aeay Maula Aeay Maula, Lashkar-e-Hussain Ban Kay Aeay Maula) x2

Paash Paash Aap(a.s.) Ka Bhi Dil Hai Ya Imam(a.s.)
Yaad Aap(a.s.) Ko Bhi Hai Woh Karbala Ki Shaam

Jab Ridaen Bibion(s.a.) Kay Sar Say Chin Gaen

Jal Rahay Thay Jis Gharhi Hussain(a.s.) Kay Khayam

Pursa Lejiey Har Shaheed(a.s.) Ka

Lashkar-e-Hussain(a.s.) Ban Kay Aeay Maula

(Aeay Maula Aeay Maula, Lashkar-e-Hussain Ban Kay Aeay Maula) x2

Ris Raha Hai Khoon Ab Bhi Jis Kay Kaan Say
Woh Sakina(s.a.) Qaid Say Na Aai Laut Kay

Qaid-e-Shaam Mein Lehad Hai Us(s.a.) Ki Aaj Bhi

Aati Hai Sada Yeh Aaj Us(s.a.) Ki Qabr Say

Zalimon Say Ab Intaqaam Lein

Lashkar-e-Hussain(a.s.) Ban Kay Aeay Maula

(Aeay Maula Aeay Maula, Lashkar-e-Hussain Ban Kay Aeay Maula) x2

Intaqaam Shah(a.s.)-e-Karbala Ka Leingay Aap(a.s.)
Majlison Mein Zikr-e-Karbala Kareingay Aap(a.s.)

Matam-e-Hussain(a.s.) Kay Urooj Kay Liey

Apnay Jad(a.s.) Kay Haal Ka Nauha Parhheingay Aap(a.s.)

Ghazi(a.s.) Ka Alam Hoga Haath Mein

Lashkar-e-Hussain(a.s.) Ban Kay Aeay Maula

(Aeay Maula Aeay Maula, Lashkar-e-Hussain Ban Kay Aeay Maula) x2

HomebookmarkmybayaazSetting